Saturday, March 15, 2008

Daykha To Mera Saaya B Muj Say Judaa Mila

Daykha to mera saaya bhi mujh say judaa mila

socha to her kisi say mera silsila mila

shahar-e-wafa main ab kisay ahal-e-wafa kahain

hum say galay mila to wo hi bewafa mila

fursat kisay thi jo meri halat poochta

her shaKhs apnay baray main kuch sochta mila

us nay to Khair apno say mora tha mauh haye

main ne ye kya kiya kay main Gairoon say jaa mila

No comments: